Skip to main content

Tajdar-e-Haram Ho Nighan-e-Karam Lyrics - Sabri Brothers

Tajdar-e-Haram Ho Nighan-e-Karam Lyrics - Sabri Brothers 


Kismat mein meri chein se jeena likhde
Duube na kabhi mera safeena likhde
Jannat bhi gawara hai, magar mere liye
Eh kaatib-e-taqdeer, bas Madinah likhde

Mai saahil huun meri auqaat kya hai
Tum Aaqa ho, tumhari baath kya hai

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sawarjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Eh Quraishi-la-kabi Hashmi-o-Muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kya tumse kahuun aye Rabb ke kuwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan
Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak ye rahegi beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kehna saba Huzur se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya Mustafa salle Ala, Ya Mustafa salle Ala
Ya Mustafa salle Ala, Ya Mustafa salle Ala



Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, rawz-e-jazaa
Pursa tuhi, pursa tuhi
Eh mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han Nabi-al-mohtaram


Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sawarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Koi apna nahi gham ke maare hein hum
Aapke darr pe faryaad laaye hein hum
Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum
Aapka naam le le ke marjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Maikashon aao Madine chale
Aao Madine chale, chalo Madine chale
Aao Madine chale, Isi mahine chale
Aao Madine chale, Haj ke mahine chale
Dukh ranj-o-alam sab chahat-te hein
Hasnain ke sadqe batt-te hein
Madine chale, aao Madine chale
Chalo Madine chale, aao Madine chale

Tajalliyon ki ajab hai fazaa Madine mein
Nigah-e-shawk ki hai inteha Madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa Madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa Madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda Madine mein
Madine chale, aao Madine chale
Isi mahine chale, chalo Madine chale
Maikashon aao aao Madine chale
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chale
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Khof-e-tuufan hai, bijliyon ka hai darr
Saqt mushkil hai Aaqa kidhar jaaye hum
Ap hi na garr na lenge, hamari khabar
Hum musibat ke maare kidhar jayenge
Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi Aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram

Comments

Popular posts from this blog

Mere Mehboob Qayamat Hogi Lyrics - Yo Yo Honey Singh

Mere Mehboob Qayamat Hogi Lyrics - Yo Yo Honey Singh Aye dosto ishq ka dastur hi esa hai Jo isko jaan leta hai ye sala usi ki jaan leta hai . yo yo honey singh .. mene o sanam tujhe pyar kiya tune o sanam mujhe dhoka diya mujhko bata kyu mene o sanam tujhe pyar kiya tune o sanam mujhe dhoka diya tune kiya ye kyu.. mere mahboob kayamat hogi aaj rushwa teri galiyo me mohobbat hogi meri najre to gila karti hai tere dil ko bhi sanam tujhse shikayat hogi. mere mahboobb. das das das mere yar Kado kita jhuta pyar tu legi sadi jind...sanu kitta barbad sade jehe mudeyanu dasni je baat hai dilli di ye kudiya yee badi badmash hai sali badi badmash hai sona sona......magdi ye sona yaro..sona chandi magdi hai najra ye apniya cash utthe rakhdiye thodi hoye care wich thoda hove pyar magdiye ye kudiyaaaaa...bus luxury car bus luxury car dilli di kudiya di ek khash bat hai 3-4 boyfriend....hehe..ye bhi aam bat hai ye bhi aam bat hai chhada ek yar to duja tayyar meri tara

Happy Diwali 2013 | Happy Deepawali 2013

Diwali is also called Deepawali is one of the widely celebrated festival in India, Nepal, Sri Lanka, Myanmar and many more countries. Diwali festival include Dhanteras, Naraka Chaturdasi, Amavasya, Kartika Shudda Padyami and Yama Dvitiya . A huge number of people mainly youth and children are waiting for this special week. Diwali in different area or say states or can consider country is celebrated in various way. It is basically the festival of Light, peace. Diya is one of the most important component of diwali. People do various things to make their Diwali festival a unique memorable. Renovation and coloring the houses are the basic thing people do before diwali. Have a safe and happy diwali these wished are also use as diwali may go with firework. Diwali in Hinduism is celebrated as Lord Rama return after fourteen year from forest. And Diwali in Sikh is celebrated because sixth Guru, Guru Hargobind Ji, who was freed from imprisonment and also managed to arrange the release of 52 H

Suno Na Sangemarmar full song lyrics movie Youngistaan by Arijit Singh

Here comes the another sizzling romantic song of Arijit singh in the movie Youngistaan featuring Jackky Bhagnani and Bihar beauty Neha sharma . this romantic song is composed by Jeet ganguly and the lyricist is Kausar Munir. Movie - Youngistaan Song - Suno na sangemarmarki ye minare sung by-Arijit singh written by - Kausar Munir Star Cast - Jackky Bhagnani, Neha sharma Lyrics of Suno na Sangemarmar Suno na sangemarmar ki yeh minaare Kuch bhi nahi hai aage tumhaare Aaj se dil pe mere raaj tumhaara Taj tumhara Suno na sangemarmar ki yeh minaare Kuch bhi nahi hai aage tumhaare Aaj se dil pe mere raaj tumhaara Taj tumhara Suno na sangmarmar ki yeh minaare Bin tere maddham maddham Bhi chal rahi thi dhadkan Jab se mile tum humein Aanchal se tere bandhe Dil ud raha hai Suno na aasmaano ke yeh sitaare Kuch bhi nahi hai aage tumhaare Aaj se dil pe mere raaj tumhara Taj tumhara.. Suno na sangemarmar ki yeh minaare